har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai
har lamhe maiñ sadiyoñ kā afsāna hotā hai
gardish meñ jab sāñsoñ kā paimāna hotā hai
ham ko to bas aatā hai sāñsoñ kā kārobār
kyā khonā hotā hai aur kyā paanā hotā hai
dil kī zid par us se milnā paḌtā hai har roz
aur phir saarī duniyā ko samjhānā hotā hai
āñkheñ bhar aatī haiñ merī hañs lene ke baa'd
shahr se aage aksar vīrāna hotā hai
ghar meñ ḳhvāhish hotī hai sahrāoñ ko jaa.eñ
phir kuchh soch ke raste meñ ruk jaanā hotā hai
roz koī pahnā detā hai ḳhvāboñ kī pāzeb
aur phir naach ke duniyā ko dikhlānā hotā hai
kho denā hotā hai ḳhud ko din hone ke saath
shaam Dhale tak phir se ḳhud ko paanā hotā hai
pahle sābit hotā hai us se malne kā jurm
aur phir mujh pe yādoñ kā jurmāna hotā hai
har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai
gardish mein jab sanson ka paimana hota hai
hum ko to bas aata hai sanson ka karobar
kya khona hota hai aur kya pana hota hai
dil ki zid par us se milna paDta hai har roz
aur phir sari duniya ko samjhana hota hai
aankhen bhar aati hain meri hans lene ke ba'd
shahr se aage aksar virana hota hai
ghar mein KHwahish hoti hai sahraon ko jaen
phir kuchh soch ke raste mein ruk jaana hota hai
roz koi pahna deta hai KHwabon ki pazeb
aur phir nach ke duniya ko dikhlana hota hai
kho dena hota hai KHud ko din hone ke sath
sham Dhale tak phir se KHud ko pana hota hai
pahle sabit hota hai us se malne ka jurm
aur phir mujh pe yaadon ka jurmana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.