har mauj-e-hawadis rakhti hai sine mein bhanwar kuchh pinhan bhi
har mauj-e-hawadis rakhti hai sine mein bhanwar kuchh pinhan bhi
Quaiser Khalid
MORE BYQuaiser Khalid
har mauj-e-havādis rakhtī hai siine meñ bhañvar kuchh pinhāñ bhī
rahte haiñ muqābil hī aksar ishkāl bhī dil meñ īmāñ bhī
shahroñ kī chamak ne āñkhoñ ko dikhlā.e vo manzar jin ke liye
qadroñ kā taġhayyur kyā kahiye chhoḌ aa.e zamīneñ dahqāñ bhī
har samt laraztī chīḳheñ haiñ jalte hue ġhunchoñ, kaliyoñ kī
pūchhe hai zamīn-e-gul ham se kyā kuchh hai ilāj-e-vīrāñ bhī
taḳhlīq-e-ajā.ib laakh huī fil-asr ye uqda apnī jagah
ik harf-e-vafā kī qāmat par ye 'ahd rahā hai hairāñ bhī
thī soch ye manfī lagne lagī musbat bhī jo nā'ra ban ke yahāñ
āzādī-e-nisvāñ kah kah kar aurat ko kiyā hai uryāñ bhī
is shahar-e-kasāfat meñ aa kar ojhal hue āñkhoñ se manzar
vo gaañv kā sabza vo bahr-o-bar vo dhuup vo barq-o-bārāñ bhī
ik 'ishq meñ likh likh kar kaaTā har lafz kitāb-e-hastī kā
kar Daalā usī ne zer-o-zabar jo kaam lage thā āsāñ bhī
gardish meñ zamāna hai har pal ummīd pe duniyā hai qaa.em
kal jin se the sahme sahme se ham, haiñ aaj vo larzāñ larzāñ bhī
asrār-e-zamāna ban ban kar aate haiñ yahāñ din raat magar
fitrat ke masā.ib se ab tak haarā hai kahāñ ye insāñ bhī
ho paa.e kisī ke ham bhī kahāñ yuuñ koī hamārā bhī na huā
kab Thahrī kisī ik par bhī nazar kyā chiiz hai shahr-e-ḳhūbāñ bhī
insāñ kā samajhnā hai bāqī, anjām ko pahuñche hai duniyā
ban jaa.e farishta jab chāhe ho jaa.e ye aksar haivāñ bhī
Dartā hai dil-e-kam-fahm yahāñ kyā jāniye kyā ho bastī kā
rahte haiñ ab ahl-e-ulfat ke ham-rāh ye nafrat-sāzāñ bhī
aajiz hai ye insāñ apnī hī sunā.ī pe jab jab ġhaur kare
hai farq numāyāñ har ik meñ phir bhī hai sabhī kuchh yaksāñ bhī
isbāt-e-tafakkur rakhtā hai ham tum meñ tavāzun bhī lekin
rishtoñ par paḌī jab barf-anā kaam aa.e na 'ahd-o-paimāñ bhī
me.ār-e-adab bhī Thahre sadā ho ahl-e-jahāñ ke lab par bhī
taḳhlīq ġhazal kar aisī ik ho shaad ki jis par yazdāñ bhī
mohtāt banāyā hogā unheñ hālāt ne apne ghar ke hī
ab apne hī ghar meñ rahte haiñ 'ḳhālid' jo ba-shakl-e-mehmāñ bhī
har mauj-e-hawadis rakhti hai sine mein bhanwar kuchh pinhan bhi
rahte hain muqabil hi aksar ishkal bhi dil mein iman bhi
shahron ki chamak ne aankhon ko dikhlae wo manzar jin ke liye
qadron ka taghayyur kya kahiye chhoD aae zaminen dahqan bhi
har samt larazti chiKHen hain jalte hue ghunchon, kaliyon ki
puchhe hai zamin-e-gul hum se kya kuchh hai ilaj-e-viran bhi
taKHliq-e-ajaib lakh hui fil-asr ye uqda apni jagah
ek harf-e-wafa ki qamat par ye 'ahd raha hai hairan bhi
thi soch ye manfi lagne lagi musbat bhi jo na'ra ban ke yahan
aazadi-e-niswan kah kah kar aurat ko kiya hai uryan bhi
is shahar-e-kasafat mein aa kar ojhal hue aankhon se manzar
wo ganw ka sabza wo bahr-o-bar wo dhup wo barq-o-baran bhi
ek 'ishq mein likh likh kar kaTa har lafz kitab-e-hasti ka
kar Dala usi ne zer-o-zabar jo kaam lage tha aasan bhi
gardish mein zamana hai har pal ummid pe duniya hai qaem
kal jin se the sahme sahme se ham, hain aaj wo larzan larzan bhi
asrar-e-zamana ban ban kar aate hain yahan din raat magar
fitrat ke masaib se ab tak haara hai kahan ye insan bhi
ho pae kisi ke hum bhi kahan yun koi hamara bhi na hua
kab Thahri kisi ek par bhi nazar kya chiz hai shahr-e-KHuban bhi
insan ka samajhna hai baqi, anjam ko pahunche hai duniya
ban jae farishta jab chahe ho jae ye aksar haiwan bhi
Darta hai dil-e-kam-fahm yahan kya jaaniye kya ho basti ka
rahte hain ab ahl-e-ulfat ke ham-rah ye nafrat-sazan bhi
aajiz hai ye insan apni hi sunai pe jab jab ghaur kare
hai farq numayan har ek mein phir bhi hai sabhi kuchh yaksan bhi
isbaat-e-tafakkur rakhta hai hum tum mein tawazun bhi lekin
rishton par paDi jab barf-ana kaam aae na 'ahd-o-paiman bhi
mear-e-adab bhi Thahre sada ho ahl-e-jahan ke lab par bhi
taKHliq ghazal kar aisi ek ho shad ki jis par yazdan bhi
mohtat banaya hoga unhen haalat ne apne ghar ke hi
ab apne hi ghar mein rahte hain 'KHalid' jo ba-shakl-e-mehman bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.