har mausam-e-tapan mein gul-e-tar luTaiye
har mausam-e-tapāñ meñ gul-e-tar luTā.iye
jab log tishna-lab hoñ samundar luTā.iye
kahtā hai harf-e-dostī ab bhī pukār ke
ghar meñ kisī ke aap na patthar luTā.iye
mahloñ meñ qahqahoñ kī hai barsāt roz-o-shab
ḳhushiyāñ kabhī to mere bhī dar par luTā.iye
jab aap ho ke shahr-e-farozāñ se aa.e haiñ
tārīkiyoñ meñ nuur kī chādar luTā.iye
ahbāb chaaT jā.eñge dīmak kī shakl meñ
ab daulat-e-ḳhulūs bhī bach kar luTā.iye
zehnoñ ko tāza-kār banāne ke vāste
sher-o-suḳhan ke phuul barābar luTā.iye
'gauhar' hai be-bisāt abhī shahr-e-fikr meñ
ik din matā-e-ilm bhī is par luTā.iye
har mausam-e-tapan mein gul-e-tar luTaiye
jab log tishna-lab hon samundar luTaiye
kahta hai harf-e-dosti ab bhi pukar ke
ghar mein kisi ke aap na patthar luTaiye
mahlon mein qahqahon ki hai barsat roz-o-shab
KHushiyan kabhi to mere bhi dar par luTaiye
jab aap ho ke shahr-e-farozan se aae hain
tarikiyon mein nur ki chadar luTaiye
ahbab chaT jaenge dimak ki shakl mein
ab daulat-e-KHulus bhi bach kar luTaiye
zehnon ko taza-kar banane ke waste
sher-o-suKHan ke phul barabar luTaiye
'gauhar' hai be-bisat abhi shahr-e-fikr mein
ek din mata-e-ilm bhi is par luTaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.