har mulaqat mein lagte hain wo begane se
har mulāqāt meñ lagte haiñ vo begāne se
fā.eda kyā hai bhalā aisoñ ke yārāne se
kuchh jo samjhā to mujhe sab ne hī āshiq samjhā
baat ye ḳhuub nikālī mire afsāne se
zindagī apnī nazar aane lagī sirf sarāb
kabhī guzre jo dil-e-zār ke vīrāne se
ek pal bhī na Thahar pāoge ai sañg-zano
koī patthar kabhī lauT aayā jo dīvāne se
tum ko marnā hai to marnā mire gul hone par
sham.a kahtī rahī shab-bhar yahī parvāne se
phir na dekhā tujhe ai 'josh' sukūñ se baiThā
jab se uTThā hai tū is shoḳh ke kāshāne se
har mulaqat mein lagte hain wo begane se
faeda kya hai bhala aison ke yarane se
kuchh jo samjha to mujhe sab ne hi aashiq samjha
baat ye KHub nikali mere afsane se
zindagi apni nazar aane lagi sirf sarab
kabhi guzre jo dil-e-zar ke virane se
ek pal bhi na Thahar paoge ai sang-zano
koi patthar kabhi lauT aaya jo diwane se
tum ko marna hai to marna mere gul hone par
shama kahti rahi shab-bhar yahi parwane se
phir na dekha tujhe ai 'josh' sukun se baiTha
jab se uTTha hai tu is shoKH ke kashane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.