har nafas aaina mauj-e-fana hota hai
har nafas aa.ina mauj-e-fanā hotā hai
aah kartā huuñ to dard aur sivā hotā hai
khiñchtī jaatī hai usī samt jabīn-e-sajda
jis taraf aap kā naqsh-e-kaf-e-pā hotā hai
phuuT jā ābla-e-pā ki baḌhe terā vaqār
ḳhār-e-sahrā tujhe añgusht-numā hotā hai
juñbisheñ hone lagīñ parda-e-zañgārī meñ
nāla-e-āshiq-e-dil-gīr balā hotā hai
vo na ā.eñge unheñ zid hai tamanna se mirī
maiñ kahūñ laakh to kyā merā kahā hotā hai
hai jabīñ ḳhaak pe aur 'arsh-e-mu'allā pe dimāġh
naqsha āñkhoñ meñ tire dar kā khiñchā hotā hai
saa.il aayā hai tire dar pe ḳhudī ko kho kar
dekhnā hai mujhe kyā aaj 'atā hotā hai
har ravish un kī qayāmat hai qayāmat ai 'aish'
jis taraf jaate haiñ ik hashr bapā hotā hai
har nafas aaina mauj-e-fana hota hai
aah karta hun to dard aur siwa hota hai
khinchti jati hai usi samt jabin-e-sajda
jis taraf aap ka naqsh-e-kaf-e-pa hota hai
phuT ja aabla-e-pa ki baDhe tera waqar
KHar-e-sahra tujhe angusht-numa hota hai
junbishen hone lagin parda-e-zangari mein
nala-e-ashiq-e-dil-gir bala hota hai
wo na aaenge unhen zid hai tamanna se meri
main kahun lakh to kya mera kaha hota hai
hai jabin KHak pe aur 'arsh-e-mu'alla pe dimagh
naqsha aankhon mein tere dar ka khincha hota hai
sail aaya hai tere dar pe KHudi ko kho kar
dekhna hai mujhe kya aaj 'ata hota hai
har rawish un ki qayamat hai qayamat ai 'aish'
jis taraf jate hain ek hashr bapa hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.