har-nafas inko dhyan mein rakhiye
har-nafas in ko dhyān meñ rakhiye
ḳhud ko amn-o-amān meñ rakhiye
hausloñ ko uḌaan meñ rakhiye
manzileñ āsmān meñ rakhiye
dūriyāñ qurbateñ baḌhātī haiñ
fāsle darmiyān meñ rakhiye
jaane kis vaqt vo palaT aa.eñ
raushnī sā.ebān meñ rakhiye
tund-goī bhalī nahīñ lagtī
narm lahja zabān meñ rakhiye
jaan haq par luTā.iye 'mashkūr'
zindagī ān-bān meñ rakhiye
har-nafas in ko dhyan mein rakhiye
KHud ko amn-o-aman mein rakhiye
hauslon ko uDan mein rakhiye
manzilen aasman mein rakhiye
duriyan qurbaten baDhati hain
fasle darmiyan mein rakhiye
jaane kis waqt wo palaT aaen
raushni saeban mein rakhiye
tund-goi bhali nahin lagti
narm lahja zaban mein rakhiye
jaan haq par luTaiye 'mashkur'
zindagi aan-ban mein rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.