har pal tera KHayal surud-e-KHayal hai
har pal tirā ḳhayāl surūd-e-ḳhayāl hai
so chashm-e-tar bhī ā.īna-e-aks-e-yār hai
us hīla-jū kī yaad bhī ab raftanī huī
ik hijr rah gayā hai so vo be-shumār hai
be-ḳhvāb ratjage kabhī ashkoñ ke haiñ charāġh
hai raftagāñ kā sog dil-e-be-qarār hai
tark-e-ta.alluqāt ko go muddateñ huiiñ
ab bhī dil-e-tabāh magar sogvār hai
haft-āsmāñ bhī laakh tirā parda-dār ho
har zarra kā.enāt kā timsāl-dār hai
mauj-e-tilism-e-shauq fareb-e-gumāñ sahī
kyā kījiye ki dil ko tirā e'tibār hai
kab rakh sakī asīr-e-zamān-o-makāñ kī qaid
'anjum' nigār-e-zīst to musht-e-ġhubār hai
har pal tera KHayal surud-e-KHayal hai
so chashm-e-tar bhi aaina-e-aks-e-yar hai
us hila-ju ki yaad bhi ab raftani hui
ek hijr rah gaya hai so wo be-shumar hai
be-KHwab ratjage kabhi ashkon ke hain charagh
hai raftagan ka sog dil-e-be-qarar hai
tark-e-talluqat ko go muddaten huin
ab bhi dil-e-tabah magar sogwar hai
haft-asman bhi lakh tera parda-dar ho
har zarra kaenat ka timsal-dar hai
mauj-e-tilism-e-shauq fareb-e-guman sahi
kya kijiye ki dil ko tera e'tibar hai
kab rakh saki asir-e-zaman-o-makan ki qaid
'anjum' nigar-e-zist to musht-e-ghubar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.