har pari-wash ka eatibar karo
har parī-vash kā e.atibār karo
zindagī sirf intizār karo
ham se nafrat karo ki pyaar karo
koī rishta to ustuvār karo
ham haiñ lazzat-kash-e-gunāh-e-vafā
dosto ham ko sañgsār karo
zindagī ho ki mai ki sachchā.ī
talḳh jo shai ho us se pyaar karo
har janam par ba-yād-e-sarv-qadāñ
jaañ supurd-e-farāz-e-dār karo
apne dāman kī chand kaliyoñ se
tum na andāza-e-bahār karo
gul ke mānind chaak chaak ho dil
itnā shā.ista-e-bahār karo
ham-safar jab bhī ho nigār-e-ġhazal
ravish-e-ḳhās iḳhtiyār karo
har pari-wash ka eatibar karo
zindagi sirf intizar karo
hum se nafrat karo ki pyar karo
koi rishta to ustuwar karo
hum hain lazzat-kash-e-gunah-e-wafa
dosto hum ko sangsar karo
zindagi ho ki mai ki sachchai
talKH jo shai ho us se pyar karo
har janam par ba-yaad-e-sarw-qadan
jaan supurd-e-faraaz-e-dar karo
apne daman ki chand kaliyon se
tum na andaza-e-bahaar karo
gul ke manind chaak chaak ho dil
itna shaista-e-bahaar karo
ham-safar jab bhi ho nigar-e-ghazal
rawish-e-KHas iKHtiyar karo
- Book : Qamat (Pg. 25)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.