har qadam aagahi ki samt gaya
har qadam āgahī kī samt gayā
maiñ sadā raushnī kī samt gayā
lafz le kar ḳhayāl kī vus.at
sher kī tāzgī kī samt gayā
maiñ jo utrā lahad ke ziine se
ik na.ī zindagī kī samt gayā
tishnagī ko maiñ apne saath liye
dasht-e-āvārgī kī samt gayā
kachche rañgoñ kī is numā.ish se
maiñ uThā sādgī kī samt gayā
nutq phir tāzgī kī ḳhvāhish meñ
gosha-e-ḳhāmoshī kī samt gayā
har qadam aagahi ki samt gaya
main sada raushni ki samt gaya
lafz le kar KHayal ki wusat
sher ki tazgi ki samt gaya
main jo utra lahad ke zine se
ek nai zindagi ki samt gaya
tishnagi ko main apne sath liye
dasht-e-awargi ki samt gaya
kachche rangon ki is numaish se
main uTha sadgi ki samt gaya
nutq phir tazgi ki KHwahish mein
gosha-e-KHamoshi ki samt gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.