har qadam gir ke sambhalna hoga
har qadam gir ke sambhalnā hogā
jaane kitnā abhī chalnā hogā
kisī paikar meñ agar Dhaltā hai
mom kī tarah pighalnā hogā
sāmne jab koī manzil hī nahīñ
rāsta roz badalnā hogā
apnī shohrat ke liye ḳhushbū ko
sahn-e-gulshan se nikalnā hogā
ishq kī aag meñ tā umr ḳhalish
dil-e-be-tāb ko chalnā hogā
har qadam gir ke sambhalna hoga
jaane kitna abhi chalna hoga
kisi paikar mein agar Dhalta hai
mom ki tarah pighalna hoga
samne jab koi manzil hi nahin
rasta roz badalna hoga
apni shohrat ke liye KHushbu ko
sahn-e-gulshan se nikalna hoga
ishq ki aag mein ta umr KHalish
dil-e-be-tab ko chalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.