har qadam khaega Thokar na dikhai dega
har qadam khā.egā Thokar na dikhā.ī degā
aañkh ho band to patthar na dikhā.ī degā
DhūñDhtā kyā hai koī ghar na dikhā.ī degā
shahr dīvār kā hai dar na dikhā.ī degā
qāfila shaam kā guzrā hai yahāñ se ho kar
gard hī gard hai manzar na dikhā.ī degā
dekhnā hai to utarnā hī paḌegā dil meñ
duur se ġham kā samundar na dikhā.ī degā
shahr kī āb-o-havā itnī na masmūm karo
varna DhūñDoge kabūtar na dikhā.ī degā
kuuch kar jaanā sar-e-shām yahāñ se varna
qatl ho jāoge ḳhanjar na dikhā.ī degā
bhiiḌ mil jā.egī har raah meñ har manzil par
kah sako tum jise rahbar na dikhā.ī degā
jhuk ga.e haiñ sabhī darbār meñ ḳhil.at ke liye
daar par koī suḳhanvar na dikhā.ī degā
rāt-din karte raho apne lahū se sairāb
khet dil kā koī banjar na dikhā.ī degā
jab utar jā.egā shohrat kā nasha āñkhoñ meñ
phir koī apne barābar na dikhā.ī degā
DhūñDhtā kis ko hai dastār-e-sadāqat le kar
jism mil jā.eñge ik sar na dikhā.ī degā
ek din dekhnā ai yaar tirī mahfil meñ
sab nazar ā.eñge 'ash.har' na dikhā.ī degā
har qadam khaega Thokar na dikhai dega
aankh ho band to patthar na dikhai dega
DhunDhta kya hai koi ghar na dikhai dega
shahr diwar ka hai dar na dikhai dega
qafila sham ka guzra hai yahan se ho kar
gard hi gard hai manzar na dikhai dega
dekhna hai to utarna hi paDega dil mein
dur se gham ka samundar na dikhai dega
shahr ki aab-o-hawa itni na masmum karo
warna DhunDoge kabutar na dikhai dega
kuch kar jaana sar-e-sham yahan se warna
qatl ho jaoge KHanjar na dikhai dega
bhiD mil jaegi har rah mein har manzil par
kah sako tum jise rahbar na dikhai dega
jhuk gae hain sabhi darbar mein KHilat ke liye
dar par koi suKHanwar na dikhai dega
raat-din karte raho apne lahu se sairab
khet dil ka koi banjar na dikhai dega
jab utar jaega shohrat ka nasha aankhon mein
phir koi apne barabar na dikhai dega
DhunDhta kis ko hai dastar-e-sadaqat le kar
jism mil jaenge ek sar na dikhai dega
ek din dekhna ai yar teri mahfil mein
sab nazar aaenge 'ashhar' na dikhai dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.