har qadam marhala-e-dar-o-salib aaj bhi hai
har qadam marhala-e-dār-o-salīb aaj bhī hai
jo kabhī thā vahī insāñ kā nasīb aaj bhī hai
jagmagāte haiñ ufuq par ye sitāre lekin
rāsta manzil-e-hastī kā muhīb aaj bhī hai
sar-e-maqtal jinheñ jaanā thā vo jā bhī pahuñche
sar-e-mimbar koī mohtāt ḳhatīb aaj bhī hai
ahl-e-dānish ne jise amr-e-musallam maanā
ahl-e-dil ke liye vo baat ajiib aaj bhī hai
ye tirī yaad hai yā merī aziyyat-koshī
ek nashtar sā rag-e-jāñ ke qarīb aaj bhī hai
kaun jaane ye tirā shā'ir-e-āshufta-mizāj
kitne maġhrūr ḳhudāoñ kā raqīb aaj bhī hai
har qadam marhala-e-dar-o-salib aaj bhi hai
jo kabhi tha wahi insan ka nasib aaj bhi hai
jagmagate hain ufuq par ye sitare lekin
rasta manzil-e-hasti ka muhib aaj bhi hai
sar-e-maqtal jinhen jaana tha wo ja bhi pahunche
sar-e-mimbar koi mohtat KHatib aaj bhi hai
ahl-e-danish ne jise amr-e-musallam mana
ahl-e-dil ke liye wo baat ajib aaj bhi hai
ye teri yaad hai ya meri aziyyat-koshi
ek nashtar sa rag-e-jaan ke qarib aaj bhi hai
kaun jaane ye tera sha'ir-e-ashufta-mizaj
kitne maghrur KHudaon ka raqib aaj bhi hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.