har qadam par ek naya dukh KHair-KHwahon se mila
har qadam par ik nayā dukh ḳhair-ḳhvāhoñ se milā
kab hameñ koī tahaffuz un panāhoñ se milā
ḳhud-numā.ī ke sivā kyā kaj-kulāhoñ se milā
sirf ik jhūTā tafāḳhur thā jo shāhoñ se milā
log ḳhālī haath aa.e haiñ jahāñ se lauT kar
dard kā tohfa hameñ un bārgāhoñ se milā
ek markaz par hue yakjā kahāñ past-o-buland
kab faqīroñ kā sitāra bādshāhoñ se milā
zindagī bhar ham rahe mahv-e-safar lekin 'zafar'
manziloñ se kuchh huā hāsil na rāhoñ se milā
har qadam par ek naya dukh KHair-KHwahon se mila
kab hamein koi tahaffuz un panahon se mila
KHud-numai ke siwa kya kaj-kulahon se mila
sirf ek jhuTa tafaKHur tha jo shahon se mila
log KHali hath aae hain jahan se lauT kar
dard ka tohfa hamein un bargahon se mila
ek markaz par hue yakja kahan past-o-buland
kab faqiron ka sitara baadshahon se mila
zindagi bhar hum rahe mahw-e-safar lekin 'zafar'
manzilon se kuchh hua hasil na rahon se mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.