har qatar-e-talab-o-shauq mein sab se aage
har qatār-e-talab-o-shauq meñ sab se aage
'ishq kā āḳhirī mansab hai adab se aage
aa dikhā.ūñ maiñ tujhe zabt-e-farāvāñ kyā hai
aah jaatī hī nahīñ sarhad-e-lab se aage
ab to maiñ sabr-o-qanā'at kī du'ā māñgtā huuñ
baat niklī hai tamanna-o-talab se aage
kyā ġhalat log haiñ kahte haiñ ki hai bāġh-e-bahisht
qatl-e-nāhaq se udhar ġhaiz-o-ġhazab se aage
sust-raftār nahīñ ham kisī sūrat 'āsim'
yaar nikle haiñ kisī aur sabab se aage
har qatar-e-talab-o-shauq mein sab se aage
'ishq ka aaKHiri mansab hai adab se aage
aa dikhaun main tujhe zabt-e-farawan kya hai
aah jati hi nahin sarhad-e-lab se aage
ab to main sabr-o-qana'at ki du'a mangta hun
baat nikli hai tamanna-o-talab se aage
kya ghalat log hain kahte hain ki hai bagh-e-bahisht
qatl-e-nahaq se udhar ghaiz-o-ghazab se aage
sust-raftar nahin hum kisi surat 'asim'
yar nikle hain kisi aur sabab se aage
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 84)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.