har rahguzar mein kahkashan chhoD jaunga
har rahguzar meñ kāhkashāñ chhoḌ jā.ūñgā
zinda huuñ zindagī ke nishāñ chhoḌ jā.ūñgā
maiñ bhī to āzmā.ūñgā us ke ḳhulūs ko
us ke laboñ pe apnī fuġhāñ chhoḌ jā.ūñgā
merī tarah use bhī koī justujū rahe
az-rāh-e-ehtiyāt gumāñ chhoḌ jā.ūñgā
merā bhī aur koī nahīñ hai tire sivā
ai shām-e-ġham tujhe maiñ kahāñ chhoḌ jā.ūñgā
raushan rahūñgā ban ke maiñ ik shola-e-navā
sahrā ke ās-pās azaañ chhoḌ jā.ūñgā
phir aa ke bas ga.e haiñ barābar ke ghar meñ log
ab phir 'amīr' maiñ ye makāñ chhoḌ jā.ūñgā
har rahguzar mein kahkashan chhoD jaunga
zinda hun zindagi ke nishan chhoD jaunga
main bhi to aazmaunga us ke KHulus ko
us ke labon pe apni fughan chhoD jaunga
meri tarah use bhi koi justuju rahe
az-rah-e-ehtiyat guman chhoD jaunga
mera bhi aur koi nahin hai tere siwa
ai sham-e-gham tujhe main kahan chhoD jaunga
raushan rahunga ban ke main ek shola-e-nawa
sahra ke aas-pas azan chhoD jaunga
phir aa ke bas gae hain barabar ke ghar mein log
ab phir 'amir' main ye makan chhoD jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.