har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha
har roz nayā hashr sar-e-rāhguzar thā
ab tak kā safar ek qayāmat kā safar thā
andāza-e-hālāt thā pahle hī se mujh ko
darpesh jo ab hai vo mire pesh-e-nazar thā
sunte haiñ ki ābād yahāñ thā koī kumba
āsār bhī kahte haiñ yahāñ par koī ghar thā
tai ham ne kiyā saarā safar yak-o-tanhā
juz gard-e-safar koī na hamrāh-e-safar thā
sad haif ka.ī log ga.e jaañ se mire saath
qātil ko to matlūb faqat merā hī sar thā
merī hī tarah jaañ se guzar kar chale aate
kuchh is se ziyāda to na raste meñ ḳhatar thā
rahtā thā kabhī merī nigāhoñ meñ shab-o-roz
ik vaqt thā jab vo mirā mahbūb-e-nazar thā
kyā vo koī jhoñkā thā nasīm-e-saharī kā
yā rahguzar-e-ḳhvāb pe ḳhushbū kā safar thā
ham jā ke kahāñ bādiya-paimā hue 'mohsin'
jis dasht meñ sabza na kahīñ koī shajar thā
har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha
ab tak ka safar ek qayamat ka safar tha
andaza-e-haalat tha pahle hi se mujh ko
darpesh jo ab hai wo mere pesh-e-nazar tha
sunte hain ki aabaad yahan tha koi kumba
aasar bhi kahte hain yahan par koi ghar tha
tai hum ne kiya sara safar yak-o-tanha
juz gard-e-safar koi na hamrah-e-safar tha
sad haif kai log gae jaan se mere sath
qatil ko to matlub faqat mera hi sar tha
meri hi tarah jaan se guzar kar chale aate
kuchh is se ziyaada to na raste mein KHatar tha
rahta tha kabhi meri nigahon mein shab-o-roz
ek waqt tha jab wo mera mahbub-e-nazar tha
kya wo koi jhonka tha nasim-e-sahari ka
ya rahguzar-e-KHwab pe KHushbu ka safar tha
hum ja ke kahan baadiya-paima hue 'mohsin'
jis dasht mein sabza na kahin koi shajar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.