har saañs hai ik naġhma har naġhma hai mastāna
kis darja dukhe dil kā rangīn hai afsāna
jo kuchh thā na kahne kā sab kah gayā dīvāna
samjho to mukammal hai ab 'ishq kā afsāna
do zindagiyoñ kā hai chhoTā sā ye afsāna
lahrāyā jahāñ sho'la andhā huā parvāna
in ras bharī āñkhoñ se mastī jo Tapaktī hai
hotī hai nazar saaqī dil bantā hai paimāna
vīrāne meñ dīvāna ghar chhoḌ ke aayā thā
jab hogā na dīvāna ghar DhūñDhegā vīrāna
afsāna ġham-e-dil kā sunñe ke nahīñ qābil
kah dete haiñ sab hañs kar dīvāna hai dīvāna
jab 'ishq ke māroñ kā pursāñ hī nahīñ koī
phir donoñ barābar haiñ bastī ho ki vīrāna
ye aag mohabbat kī paanī se nahīñ bujhtī
phir sham' se jā lipTā jaltā huā parvāna
har sans hai ek naghma har naghma hai mastana
kis darja dukhe dil ka rangin hai afsana
jo kuchh tha na kahne ka sab kah gaya diwana
samjho to mukammal hai ab 'ishq ka afsana
do zindagiyon ka hai chhoTa sa ye afsana
lahraya jahan sho'la andha hua parwana
in ras bhari aankhon se masti jo Tapakti hai
hoti hai nazar saqi dil banta hai paimana
virane mein diwana ghar chhoD ke aaya tha
jab hoga na diwana ghar DhunDhega virana
afsana gham-e-dil ka sunne ke nahin qabil
kah dete hain sab hans kar diwana hai diwana
jab 'ishq ke maron ka pursan hi nahin koi
phir donon barabar hain basti ho ki virana
ye aag mohabbat ki pani se nahin bujhti
phir sham' se ja lipTa jalta hua parwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.