har samt dekhta hun lagatar matlabi
har samt dekhtā huuñ lagātār matlabī
is paar matlabī miyāñ us paar matlabī
ḳhud fā.eda uThāyā hamāre junūñ se aur
kahne lage haiñ ab hameñ sarkār matlabī
koshish ke bāvajūd jo khultā nahīñ kabhī
ik jāntā huuñ aisā pur-asrār matlabī
hai us kī bevafā.ī bhī lazzat bharī janāb
hai merā ek dost mazedār matlabī
dar kar rahe the dhoka azīzān mere saath
mujh ko ye lag rahā thā hai dīvār matlabī
ham hī nahīñ haiñ rang ke tahzīb-āshnā
us shoḳh ke nahīñ lab-o-ruḳhsār matlabī
pahchāntā huuñ dekhte hī un ko dosto
milte haiñ mujh ko din meñ ka.ī baar matlabī
'mannān' kar rahā huuñ maiñ ab dostoñ ko kam
har roz chhoḌtā huuñ maiñ do-chār matlabī
har samt dekhta hun lagatar matlabi
is par matlabi miyan us par matlabi
KHud faeda uThaya hamare junun se aur
kahne lage hain ab hamein sarkar matlabi
koshish ke bawajud jo khulta nahin kabhi
ek jaanta hun aisa pur-asrar matlabi
hai us ki bewafai bhi lazzat bhari janab
hai mera ek dost mazedar matlabi
dar kar rahe the dhoka azizan mere sath
mujh ko ye lag raha tha hai diwar matlabi
hum hi nahin hain rang ke tahzib-ashna
us shoKH ke nahin lab-o-ruKHsar matlabi
pahchanta hun dekhte hi un ko dosto
milte hain mujh ko din mein kai bar matlabi
'mannan' kar raha hun main ab doston ko kam
har roz chhoDta hun main do-chaar matlabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.