har samt lahu-rang ghaTa chhai si kyun hai
har samt lahū-rañg ghaTā chhā.ī sī kyuuñ hai
duniyā mirī āñkhoñ meñ simaT aa.ī sī kyuuñ hai
kyā misl-e-charāġh-e-shab-e-āḳhir hai javānī
shiryānoñ meñ ik taaza tavānā.ī sī kyuuñ hai
dar aa.ī hai kyuuñ kamre meñ dariyāoñ kī ḳhushbū
TuuTī huī dīvāroñ pe lalchā.ī sī kyuuñ hai
maiñ aur mirī zaat agar ek hī shai haiñ
phir barsoñ se donoñ meñ saf-ārā.ī sī kyuuñ hai
har samt lahu-rang ghaTa chhai si kyun hai
duniya meri aankhon mein simaT aai si kyun hai
kya misl-e-charagh-e-shab-e-aKHir hai jawani
shiryanon mein ek taza tawanai si kyun hai
dar aai hai kyun kamre mein dariyaon ki KHushbu
TuTi hui diwaron pe lalchai si kyun hai
main aur meri zat agar ek hi shai hain
phir barson se donon mein saf-arai si kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.