har samt raushni thi jidhar bhi nazar uThi
har samt raushnī thī jidhar bhī nazar uThī
lekin vo ik nigāh na jaane kidhar uThī
ye kaun naġhma-sanj-o-ġhazal-ḳhvāñ guzar gayā
gulshan se jhūmtī huī bād-e-sahar uThī
vo intizār-e-yār ke lamhāt al-amāñ
dard-e-jigar baḌhā to nazar sū-e-dar uThī
afsāne āñsuoñ se hazāroñ ubal paḌe
phir aaj jo nigāh mirī baam par uThī
kis ne yahāñ 'shakeb' kā afsāna kah diyā
ik ajnabī nigāh bhī ashkoñ se tar uThī
har samt raushni thi jidhar bhi nazar uThi
lekin wo ek nigah na jaane kidhar uThi
ye kaun naghma-sanj-o-ghazal-KHwan guzar gaya
gulshan se jhumti hui baad-e-sahar uThi
wo intizar-e-yar ke lamhat al-aman
dard-e-jigar baDha to nazar su-e-dar uThi
afsane aansuon se hazaron ubal paDe
phir aaj jo nigah meri baam par uThi
kis ne yahan 'shakeb' ka afsana kah diya
ek ajnabi nigah bhi ashkon se tar uThi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.