har samt sukut bolta hai
har samt sukūt boltā hai
ye kaun se jurm kī sazā hai
haiñ paañv lahūluhān lekin
manzil kā pata to mil gayā hai
ab laa.e ho muzhda-e-bahārāñ
jab phuul kā rañg uḌ chukā hai
zaḳhmoñ ke diye kī lau maiñ raqsāñ
arbāb-e-junūñ kā rat-jagā hai
ab tere sivā kise pukārūñ
tū mere vajūd kī sadā hai
har samt sukut bolta hai
ye kaun se jurm ki saza hai
hain panw lahuluhan lekin
manzil ka pata to mil gaya hai
ab lae ho muzhda-e-bahaaran
jab phul ka rang uD chuka hai
zaKHmon ke diye ki lau main raqsan
arbab-e-junun ka rat-jaga hai
ab tere siwa kise pukarun
tu mere wajud ki sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.