har samt ye hum shor-o-sharar dekh rahe hain
har samt ye ham shor-o-sharar dekh rahe haiñ
mazlūm kī aahoñ kā asar dekh rahe haiñ
miTte hue aslāf kī azmat ke nishānāt
dekhe nahīñ jaate haiñ magar dekh rahe haiñ
kal tak jo uḳhuvvat ke liye phirte the parcham
badlī huī aaj un kī nazar dekh rahe haiñ
arbāb-e-hukūmat meñ hai jahl aur taġhāful
tārāj huā jaatā hai ghar dekh rahe haiñ
jamhūrī hukūmat jise samjhe the parī ham
ifrīt kī sūrat hai jidhar dekh rahe haiñ
kyā baaġh dikhā.e ga.e āzādī se pahle
kis darja mile talḳh samar dekh rahe haiñ
sab ahl-e-vafā ho ga.e kangāl 'ġhubār' aaj
nā-ahloñ ke ghar la.al-o-gohar dekh rahe haiñ
har samt ye hum shor-o-sharar dekh rahe hain
mazlum ki aahon ka asar dekh rahe hain
miTte hue aslaf ki azmat ke nishanat
dekhe nahin jate hain magar dekh rahe hain
kal tak jo uKHuwwat ke liye phirte the parcham
badli hui aaj un ki nazar dekh rahe hain
arbab-e-hukumat mein hai jahl aur taghaful
taraj hua jata hai ghar dekh rahe hain
jamhuri hukumat jise samjhe the pari hum
ifrit ki surat hai jidhar dekh rahe hain
kya bagh dikhae gae aazadi se pahle
kis darja mile talKH samar dekh rahe hain
sab ahl-e-wafa ho gae kangal 'ghubar' aaj
na-ahlon ke ghar lal-o-gohar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.