har shaKH pe thi wafa ki qindil
har shāḳh pe thī vafā kī qindīl
ai shahr batā kahāñ vo ban hai
bajtī huī ḳhuun kī ravānī
ḳhvāhish kī giraft meñ badan hai
laḌte laḌte bikhar ga.e haiñ
ab jo bhī jahāñ hai na.ara-zan hai
har jihat mujhe pukārtī hai
har samt vo rañg-e-pairahan hai
letā hai vajūd garm sāñseñ
ek shola-e-shauq vo badan hai
ye kaun dhanak nahā ke niklī
gul-būTā chaman chaman hai
har shaKH pe thi wafa ki qindil
ai shahr bata kahan wo ban hai
bajti hui KHun ki rawani
KHwahish ki giraft mein badan hai
laDte laDte bikhar gae hain
ab jo bhi jahan hai nara-zan hai
har jihat mujhe pukarti hai
har samt wo rang-e-pairahan hai
leta hai wajud garm sansen
ek shola-e-shauq wo badan hai
ye kaun dhanak naha ke nikli
gul-buTa chaman chaman hai
- Book : Imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 149)
- Author : Syed Abul Hasnat Haqqi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.