har shab-e-gham ki sahar bhi hogi
har shab-e-ġham kī sahar bhī hogī
zindagī hai to basar bhī hogī
vo zamāna bhī kabhī aa.egā
dil kī jab dil ko ḳhabar bhī hogī
dard kam-kam nahīñ afzūñ hogā
chashm pur-nam nahīñ tar bhī hogī
ātish-e-ishq jise kahte haiñ
vo idhar hai to udhar bhī hogī
zulm hī zulm na hogā āḳhir
pyaar kī ek nazar bhī hogī
maiñ ḳhatā-kār-e-nazar huuñ lekin
ye ḳhatā bār-e-digar bhī hogī
kitne vo ahl-e-nazar haiñ jin kī
husn-e-ma.anī pe nazar bhī hogī
jaane kyā haal hamārā hogā
jab mohabbat kī nazar bhī hogī
ham bhī hoñge tirā ġham bhī hogā
shab bhī aa.egī sahar bhī hogī
jalva-e-ġhuncha-o-gul bhī hogā
shoḳhī-e-barq-o-sharar bhī hogī
azm bebāk safar bhī hogā
raah pur-ḳhauf-o-ḳhatar bhī hogī
har aziyyat hī muqaddar hai agar
dasht to dasht hai ghar bhī hogī
bach rahī aaj havādis se agar
har kalī kal gul-e-tar bhī hogī
rañj rāhat meñ badal jā.egā
ḳhair dar-parda-e-shar bhī hogī
kuchh sitāre bhī daraḳhshāñ hoñge
kuchh mirī gard-e-safar bhī hogī
har shab-e-gham ki sahar bhi hogi
zindagi hai to basar bhi hogi
wo zamana bhi kabhi aaega
dil ki jab dil ko KHabar bhi hogi
dard kam-kam nahin afzun hoga
chashm pur-nam nahin tar bhi hogi
aatish-e-ishq jise kahte hain
wo idhar hai to udhar bhi hogi
zulm hi zulm na hoga aaKHir
pyar ki ek nazar bhi hogi
main KHata-kar-e-nazar hun lekin
ye KHata bar-e-digar bhi hogi
kitne wo ahl-e-nazar hain jin ki
husn-e-mani pe nazar bhi hogi
jaane kya haal hamara hoga
jab mohabbat ki nazar bhi hogi
hum bhi honge tera gham bhi hoga
shab bhi aaegi sahar bhi hogi
jalwa-e-ghuncha-o-gul bhi hoga
shoKHi-e-barq-o-sharar bhi hogi
azm bebak safar bhi hoga
rah pur-KHauf-o-KHatar bhi hogi
har aziyyat hi muqaddar hai agar
dasht to dasht hai ghar bhi hogi
bach rahi aaj hawadis se agar
har kali kal gul-e-tar bhi hogi
ranj rahat mein badal jaega
KHair dar-parda-e-shar bhi hogi
kuchh sitare bhi daraKHshan honge
kuchh meri gard-e-safar bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.