har shab ek hi KHwab se uljha rahta hun
har shab ek hī ḳhvāb se uljhā rahtā huuñ
maiñ dariyā huuñ phir bhī pyāsā rahtā huuñ
din kī fasl kaTe to shaam Dhale aksar
ḳhvāboñ kī dīvār se chipkā rahtā huuñ
havā kī zad pe maiñ ik aisā sūraj huuñ
shaam se hī raste pe rakkhā rahtā huuñ
chalte chalte dariyā jab thak jaate haiñ
yaad ke gahre sāgar meñ Duubā rahtā huuñ
soch kī galiyoñ meñ āvāra phirtā huā
ghar ke darvāze par tanhā rahtā huuñ
shāyad koī mujhe jagāne aa jaa.e
is ḳhvāhish meñ pahroñ soyā rahtā huuñ
raushniyoñ kā ghar bhī nahīñ miltā 'maḳhdūm'
sūraj kā saayā huuñ bhāgā rahtā huuñ
har shab ek hi KHwab se uljha rahta hun
main dariya hun phir bhi pyasa rahta hun
din ki fasl kaTe to sham Dhale aksar
KHwabon ki diwar se chipka rahta hun
hawa ki zad pe main ek aisa suraj hun
sham se hi raste pe rakkha rahta hun
chalte chalte dariya jab thak jate hain
yaad ke gahre sagar mein Duba rahta hun
soch ki galiyon mein aawara phirta hua
ghar ke darwaze par tanha rahta hun
shayad koi mujhe jagane aa jae
is KHwahish mein pahron soya rahta hun
raushniyon ka ghar bhi nahin milta 'maKHdum'
suraj ka saya hun bhaga rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.