har sher har ghazal pe hai aisi chhap teri
har sher har ġhazal pe hai aisī chhāp terī
tasvīr ban rahī hai ik apne aap terī
māhaul ḳhushnumā thā manzar thirak rahe the
table pe paḌ rahī thī jab tez thaap terī
pāzeb pahne koī sīḌhī utar rahā hai
ziine se aa rahī hai phir mujh ko chaap terī
ġhusse meñ tū ne us ko jaane ko kah diyā par
har saañs kar rahī hai ab pashchātāp terī
office kī filoñ ko nipTā ke shaam bolī
ai din thakā rahī hai ye āpādhāp terī
tere liye kisī ko itnā dīvāna dekhā
lagne lagī hai mujh ko chāhat bhī paap terī
aa.ī thī saj sañvar ke ik shaam tujh se milne
chup-chāp lauTtī hai ḳhāmoshī bhaap terī
har sher har ghazal pe hai aisi chhap teri
taswir ban rahi hai ek apne aap teri
mahaul KHushnuma tha manzar thirak rahe the
table pe paD rahi thi jab tez thap teri
pazeb pahne koi siDhi utar raha hai
zine se aa rahi hai phir mujh ko chap teri
ghusse mein tu ne us ko jaane ko kah diya par
har sans kar rahi hai ab pashchatap teri
office ki filon ko nipTa ke sham boli
ai din thaka rahi hai ye aapadhap teri
tere liye kisi ko itna diwana dekha
lagne lagi hai mujh ko chahat bhi pap teri
aai thi saj sanwar ke ek sham tujh se milne
chup-chap lauTti hai KHamoshi bhap teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.