har sitam sah ke muskura dena
har sitam sah ke muskurā denā
maiñ ne sīkhā hai ġham bhulā denā
ungliyāñ jo uThāte haiñ sab par
aa.ina un ko bhī dikhā denā
hai mohabbat kī aarzū jin ko
un ko merā patā batā denā
un ko aatā hai kyā sivā is ke
hāl-e-dil sunñā muskurā denā
ai 'anā' hai yahī mirā sheva
apne dushman ko bhī duā denā
har sitam sah ke muskura dena
main ne sikha hai gham bhula dena
ungliyan jo uThate hain sab par
aaina un ko bhi dikha dena
hai mohabbat ki aarzu jin ko
un ko mera pata bata dena
un ko aata hai kya siwa is ke
haal-e-dil sunna muskura dena
ai 'ana' hai yahi mera shewa
apne dushman ko bhi dua dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.