har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup
har sū hai tārīkī chhā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup
kis ne aisī sham.a jalā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup
kis jānib hai apnī manzil dorāhe par aa pahuñche
kis ne aisī raah batā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup
dasht-e-tapāñ meñ jaane kab se dil ne dī haiñ āvāzeñ
koī bhī āvāz na aa.ī tum bhī chup aur ham bhī chup
raah kisī kī takte takte taare bhī ab raakh hue
sub.h kī devī bhī muskā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup
dard ke be-pāyāñ sahrā meñ duur talak hai sannāTā
zaḳhm-e-dil ne lī añgḌā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup
har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup
kis ne aisi shama jalai tum bhi chup aur hum bhi chup
kis jaanib hai apni manzil dorahe par aa pahunche
kis ne aisi rah batai tum bhi chup aur hum bhi chup
dasht-e-tapan mein jaane kab se dil ne di hain aawazen
koi bhi aawaz na aai tum bhi chup aur hum bhi chup
rah kisi ki takte takte tare bhi ab rakh hue
subh ki dewi bhi muskai tum bhi chup aur hum bhi chup
dard ke be-payan sahra mein dur talak hai sannaTa
zaKHm-e-dil ne li angDai tum bhi chup aur hum bhi chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.