har taraf hai fusun mohabbat ka
har taraf hai fusūñ mohabbat kā
giit maiñ bhī sunūñ mohabbat kā
ye jo sho.ale haiñ merī āñkhoñ meñ
hai ye soz-e-darūñ mohabbat kā
tum ye kahte ho maiñ rahūñ zinda
aur dukh bhī sahūñ mohabbat kā
sochtā huuñ ki ab tumhāre baġhair
lafz kaise likhūñ mohabbat kā
aaj duniyā ne jiit lī baazī
aaj sar hai nigūñ mohabbat kā
har taraf hai fusun mohabbat ka
git main bhi sunun mohabbat ka
ye jo shoale hain meri aankhon mein
hai ye soz-e-darun mohabbat ka
tum ye kahte ho main rahun zinda
aur dukh bhi sahun mohabbat ka
sochta hun ki ab tumhaare baghair
lafz kaise likhun mohabbat ka
aaj duniya ne jit li bazi
aaj sar hai nigun mohabbat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.