har taraf shahr mein phaila hua shar lagta hai
har taraf shahr meñ phailā huā shar lagtā hai
ab to bachchoñ se bhī apne mujhe Dar lagtā hai
kyoñ jaḌeñ merī zamīñ koī pakaḌtī hī nahīñ
mere hāthoñ kī lakīroñ meñ safar lagtā hai
apne mehvar se haTī hai mirī duniyā jab se
zer bhī dekhūñ to mujh ko vo zabar lagtā hai
merī kashtī hī kināre pe hamesha Duubī
apnī taqdīr meñ mujh ko to bhañvar lagtā hai
apnī ġhurbat kī ye hālat hai ki 'shāhid' ab to
sang bhī dekhūñ to mujh ko vo guhar lagtā hai
har taraf shahr mein phaila hua shar lagta hai
ab to bachchon se bhi apne mujhe Dar lagta hai
kyon jaDen meri zamin koi pakaDti hi nahin
mere hathon ki lakiron mein safar lagta hai
apne mehwar se haTi hai meri duniya jab se
zer bhi dekhun to mujh ko wo zabar lagta hai
meri kashti hi kinare pe hamesha Dubi
apni taqdir mein mujh ko to bhanwar lagta hai
apni ghurbat ki ye haalat hai ki 'shahid' ab to
sang bhi dekhun to mujh ko wo guhar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.