har taraf tez aandhiyan rakhna
har taraf tez āñdhiyāñ rakhnā
beach meñ merā āshiyāñ rakhnā
dhuup chhat par havā ho kamre meñ
lawn meñ shoḳh titliyāñ rakhnā
chāñd barse tasalliyoñ kī tarah
ghar meñ do-chār khiḌkiyāñ rakhnā
apnī duniyā hai dil-fareb bahut
ek dil ko kahāñ kahāñ rakhnā
tū rahegā jahāñ zamīñ hai tirī
maiñ jahāñ huuñ mujhe vahāñ rakhnā
lafz mil jaa.eñ to bayāñ hogā
hoñT kāñpe to uñgliyāñ rakhnā
baañh phaile to tum ko chhū aa.e
fāsla itnā darmiyāñ rakhnā
mere lafzoñ meñ dard de yārab
mere muñh meñ mirī zabāñ rakhnā
har taraf tez aandhiyan rakhna
beach mein mera aashiyan rakhna
dhup chhat par hawa ho kamre mein
lawn mein shoKH titliyan rakhna
chand barse tasalliyon ki tarah
ghar mein do-chaar khiDkiyan rakhna
apni duniya hai dil-fareb bahut
ek dil ko kahan kahan rakhna
tu rahega jahan zamin hai teri
main jahan hun mujhe wahan rakhna
lafz mil jaen to bayan hoga
honT kanpe to ungliyan rakhna
banh phaile to tum ko chhu aae
fasla itna darmiyan rakhna
mere lafzon mein dard de yarab
mere munh mein meri zaban rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.