har tarah se sata sata ke mujhe
har tarah se satā satā ke mujhe
thak ga.e log aazmā ke mujhe
farz kā rāsta dikhā ke mujhe
aap kyoñ so ga.e jagā ke mujhe
paas the to na qadr thī merī
yaad karte haiñ duur jā ke mujhe
maiñ tumheñ yaad kar ke jiitā huuñ
jī na pāoge tum bhulā ke mujhe
hādse the qadam qadam 'jāzib'
us ne rakkhā bachā bachā ke mujhe
har tarah se sata sata ke mujhe
thak gae log aazma ke mujhe
farz ka rasta dikha ke mujhe
aap kyon so gae jaga ke mujhe
pas the to na qadr thi meri
yaad karte hain dur ja ke mujhe
main tumhein yaad kar ke jita hun
ji na paoge tum bhula ke mujhe
hadse the qadam qadam 'jazib'
us ne rakkha bacha bacha ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.