har waqt satata hai sudhar kyun nahin jata
har waqt satata hai sudhar kyun nahin jata
Khaleel Husain Balooch
MORE BYKhaleel Husain Balooch
har vaqt satātā hai sudhar kyuuñ nahīñ jaatā
vo soch ke parde se utar kyuuñ nahīñ jaatā
kuchh log mohalle ke yahī soch rahe haiñ
gar hosh pe qaa.em huuñ to ghar kyuuñ nahīñ jaatā
jis samt ravāñ haiñ ye dhuāñ dhuul musāfir
us samt mirā zauq-e-safar kyuuñ nahīñ jaatā
har ahd-e-mohabbat pe pashemāñ hai vo āḳhir
kyuuñ uzr tarāshe hai mukar kyuuñ nahīñ jaatā
ik ḳhauf sā dushman kī safoñ pe hai musallat
sar kaaT chuke haiñ to maiñ mar kyuuñ nahīñ jaatā
aflāk se aa.ī thī nidā kaun khaḌā hai
gardan bhī kaTī hai to bikhar kyoñ nahīñ jaatā
zinda hai agar zindagī ne phuul bichhā.e
marnā hai to phir maut kā Dar kyuuñ nahīñ jaatā
kyuuñ yaad kī chaukhaT pe sar-e-ām khaḌā hai
us ḳhālī makāñ se tū guzar kyoñ nahīñ jaatā
maanā ki tū rakhtā hai ajab ek udāsī
us bahr-e-aziyyat se bikhar kyoñ nahīñ jaatā
ye hijr simaTtā hī hijr phailtā jaa.e
ḳhairāt se terī ye asar kyoñ nahīñ jaatā
tanhā to nahīñ ziist kī rāhoñ meñ ḳhalīl ab
phir us kā muqaddar bhī sañvar kyuuñ nahīñ jaatā
har waqt satata hai sudhar kyun nahin jata
wo soch ke parde se utar kyun nahin jata
kuchh log mohalle ke yahi soch rahe hain
gar hosh pe qaem hun to ghar kyun nahin jata
jis samt rawan hain ye dhuan dhul musafir
us samt mera zauq-e-safar kyun nahin jata
har ahd-e-mohabbat pe pasheman hai wo aaKHir
kyun uzr tarashe hai mukar kyun nahin jata
ek KHauf sa dushman ki safon pe hai musallat
sar kaT chuke hain to main mar kyun nahin jata
aflak se aai thi nida kaun khaDa hai
gardan bhi kaTi hai to bikhar kyon nahin jata
zinda hai agar zindagi ne phul bichhae
marna hai to phir maut ka Dar kyun nahin jata
kyun yaad ki chaukhaT pe sar-e-am khaDa hai
us KHali makan se tu guzar kyon nahin jata
mana ki tu rakhta hai ajab ek udasi
us bahr-e-aziyyat se bikhar kyon nahin jata
ye hijr simaTta hi hijr phailta jae
KHairaat se teri ye asar kyon nahin jata
tanha to nahin zist ki rahon mein KHalil ab
phir us ka muqaddar bhi sanwar kyun nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.