har waraq ek kitab ho jae
har varaq ik kitāb ho jaa.e
aks-e-jalva naqāb ho jaa.e
phuul dekhā thā ḳhvāb meñ kal ik
aaj tābīr-e-ḳhvāb ho jaa.e
ḳhud-baḳhud terī lai pe bajne lage
saañs tār-e-rabāb ho jaa.e
ek mushkil kā vaqt vo hogā
jab duā mustajāb ho jaa.e
ik qayāmat hai aap kā va.ada
chaliye ye bhī azaab ho jaa.e
mujh ko kāñToñ pe tolne vaale
tū shagufta gulāb ho jaa.e
sajda-e-ishq kar adā 'tarazī'
ye bhī kār-e-savāb ho jaa.e
har waraq ek kitab ho jae
aks-e-jalwa naqab ho jae
phul dekha tha KHwab mein kal ek
aaj tabir-e-KHwab ho jae
KHud-baKHud teri lai pe bajne lage
sans tar-e-rabab ho jae
ek mushkil ka waqt wo hoga
jab dua mustajab ho jae
ek qayamat hai aap ka wada
chaliye ye bhi azab ho jae
mujh ko kanTon pe tolne wale
tu shagufta gulab ho jae
sajda-e-ishq kar ada 'tarazi'
ye bhi kar-e-sawab ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.