har zarra-e-ummid se KHushbu nikal aae
har zarra-e-ummīd se ḳhushbū nikal aa.e
tanhā.ī ke sahrā meñ agar tū nikal aa.e
kaisā lage is paar agar mausam-e-gul meñ
titlī kā badan oḌh ke jugnū nikal aa.e
phir din tirī yādoñ kī muñDeroñ pe guzārā
phir shaam huī aañkh meñ aañsū nikal aa.e
bechain kiye rahtā hai dhaḌkā yahī jī ko
tujh meñ na zamāne kī koī ḳhū nikal aa.e
phir dil ne kiyā tark-e-ta.alluq kā irāda
phir tujh se mulāqāt ke pahlū nikal aa.e
har zarra-e-ummid se KHushbu nikal aae
tanhai ke sahra mein agar tu nikal aae
kaisa lage is par agar mausam-e-gul mein
titli ka badan oDh ke jugnu nikal aae
phir din teri yaadon ki munDeron pe guzara
phir sham hui aankh mein aansu nikal aae
bechain kiye rahta hai dhaDka yahi ji ko
tujh mein na zamane ki koi KHu nikal aae
phir dil ne kiya tark-e-talluq ka irada
phir tujh se mulaqat ke pahlu nikal aae
- Book : Pakistani Adab (Pg. 715)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.