harf-e-dil na-rasa hai tere shahr mein
harf-e-dil nā-rasā hai tire shahr meñ
har sadā be-sadā hai tire shahr meñ
koī ḳhushbū kī jhankār suntā nahīñ
kaun sā gul khilā hai tire shahr meñ
kab dhanak so ga.ī kab sitāre bujhe
koī kab sochtā hai tire shahr meñ
ab chanāroñ pe bhī aag khilne lagī
zaḳhm lau de rahā hai tire shahr meñ
jitne patte the sab hī havā de ga.e
kis pe takiya rahā hai tire shahr meñ
ek dard-e-judā.ī kā ġham kyā kareñ
kis maraz kī davā hai tire shahr meñ
ab kisī shahr kī chaah baaqī nahīñ
dil kuchh aisā dukhā hai tire shahr meñ
harf-e-dil na-rasa hai tere shahr mein
har sada be-sada hai tere shahr mein
koi KHushbu ki jhankar sunta nahin
kaun sa gul khila hai tere shahr mein
kab dhanak so gai kab sitare bujhe
koi kab sochta hai tere shahr mein
ab chanaron pe bhi aag khilne lagi
zaKHm lau de raha hai tere shahr mein
jitne patte the sab hi hawa de gae
kis pe takiya raha hai tere shahr mein
ek dard-e-judai ka gham kya karen
kis maraz ki dawa hai tere shahr mein
ab kisi shahr ki chah baqi nahin
dil kuchh aisa dukha hai tere shahr mein
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.