harf-e-isbaat ki taqlid se aaghaz kiya
harf-e-isbāt kī taqlīd se āġhāz kiyā
sub.h kā raat pe tanqīd se āġhāz kiyā
sher-goī ke safar kā miyāñ nāseh ham ne
apne afkār kī tajdīd se āġhāz kiyā
vo pas-o-pesh ki sochūñ to laraz jaatā huuñ
us kī tarjīh ne tardīd se āġhāz kiyā
dekhtā kyā hai mirā shauq-e-junūñ maiñ ne to
apne har din kā tirī diid se āġhāz kiyā
arz-e-hālāt ko tamhīd thī lāzim lekin
dil ke afsāne kā tākīd se āġhāz kiyā
maiñ marāsim kī shurūāt na kartā lekin
shoḳhī-e-chashm kī tā.īd se āġhāz kiyā
us kā sahrā-e-jahālat meñ bhaTaknā tai hai
jis ne nā-ahloñ kī taqlīd se āġhāz kiyā
āḳhirash ġham ke ḳhazāne hī mayassar aa.e
jab ḳhushī milne kī ummīd se āġhāz kiyā
'shād' ham sāhib-e-īmān haiñ ham ne apnī
ziist kā kalma-e-tauhīd se āġhāz kiyā
harf-e-isbaat ki taqlid se aaghaz kiya
subh ka raat pe tanqid se aaghaz kiya
sher-goi ke safar ka miyan naseh hum ne
apne afkar ki tajdid se aaghaz kiya
wo pas-o-pesh ki sochun to laraz jata hun
us ki tarjih ne tardid se aaghaz kiya
dekhta kya hai mera shauq-e-junun main ne to
apne har din ka teri did se aaghaz kiya
arz-e-haalat ko tamhid thi lazim lekin
dil ke afsane ka takid se aaghaz kiya
main marasim ki shuruat na karta lekin
shoKHi-e-chashm ki taid se aaghaz kiya
us ka sahra-e-jahaalat mein bhaTakna tai hai
jis ne na-ahlon ki taqlid se aaghaz kiya
aaKHirash gham ke KHazane hi mayassar aae
jab KHushi milne ki ummid se aaghaz kiya
'shad' hum sahib-e-iman hain hum ne apni
zist ka kalma-e-tauhid se aaghaz kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.