harf-e-nairang samajh rang-e-asatir mein aa
harf-e-nairañg samajh rañg-e-asātīr meñ aa
hunar-e-izn-e-karāmat mirī zanjīr meñ aa
maiñ ki ḳhvābīda jazīroñ ke ta.āqub meñ rahūñ
tū ki ik baar kahīñ mauja-e-ta.abīr meñ aa
ḳhvāhisheñ ishq kā e.ajāz nahīñ hotī haiñ
chuum kar māthā kisī zulf-e-girah-gīr meñ aa
dekhā in taaza gulāboñ ko na.ī hairat se
gulshan-e-jism meñ rah halqa-e-tasvīr meñ aa
vaqf kar vaqt-e-mulāqāt mulāqāt andar
dasht ko dasht samajh ḳhāk-e-hama-gīr meñ aa
aks-dar-aks koī aur tamāshā-e-javāz
shīsha-e-dil se nikal hairat-e-dil-gīr meñ aa
masnad-e-ishq pe sultānī nahīñ ho saktī
ijz ke paañv pakaḌ faqr kī jāgīr meñ aa
rauñd kar ruuh kisī jism kā ahvāl samajh
chhoḌ de asl-e-ḳhudī bahr-e-mazāmīr meñ aa
saf.ha-e-ḳhvāb se uThūñ maiñ suḳhan kī mānind
tū kisī roz mire lafz kī ta.abīr meñ aa
harf-e-nairang samajh rang-e-asatir mein aa
hunar-e-izn-e-karamat meri zanjir mein aa
main ki KHwabida jaziron ke taaqub mein rahun
tu ki ek bar kahin mauja-e-tabir mein aa
KHwahishen ishq ka eajaz nahin hoti hain
chum kar matha kisi zulf-e-girah-gir mein aa
dekha in taza gulabon ko nai hairat se
gulshan-e-jism mein rah halqa-e-taswir mein aa
waqf kar waqt-e-mulaqat mulaqat andar
dasht ko dasht samajh KHak-e-hama-gir mein aa
aks-dar-aks koi aur tamasha-e-jawaz
shisha-e-dil se nikal hairat-e-dil-gir mein aa
masnad-e-ishq pe sultani nahin ho sakti
ijz ke panw pakaD faqr ki jagir mein aa
raund kar ruh kisi jism ka ahwal samajh
chhoD de asl-e-KHudi bahr-e-mazamir mein aa
safha-e-KHwab se uThun main suKHan ki manind
tu kisi roz mere lafz ki tabir mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.