Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf-e-shir-o-shakar se na-waqif

Zarrin Munavvar

harf-e-shir-o-shakar se na-waqif

Zarrin Munavvar

MORE BYZarrin Munavvar

    harf-e-shīr-o-shakar se nā-vāqif

    be-asar bā-asar se nā-vāqif

    maiñ mazāfāt meñ palī laḌkī

    shahr vāloñ ke shar se nā-vāqif

    ik mujhe ḳhauf hai use khonā

    aur vo mere Dar se nā-vāqif

    kaisā shab-bāsh hai mirā mahram

    shab se vāqif sahar se nā-vāqif

    dekh zinda huuñ maiñ faqīrī meñ

    zan zamīñ aur zar se nā-vāqif

    jis pe chāhat ke phuul khilte haiñ

    log haiñ us shajar se nā-vāqif

    harf-e-shir-o-shakar se na-waqif

    be-asar ba-asar se na-waqif

    main mazafat mein pali laDki

    shahr walon ke shar se na-waqif

    ek mujhe KHauf hai use khona

    aur wo mere Dar se na-waqif

    kaisa shab-bash hai mera mahram

    shab se waqif sahar se na-waqif

    dekh zinda hun main faqiri mein

    zan zamin aur zar se na-waqif

    jis pe chahat ke phul khilte hain

    log hain us shajar se na-waqif

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now