harf ko daftar-e-yamin pe rakh
harf ko daftar-e-yamīn pe rakh
raaz ko mauja-e-amīn pe rakh
chhū nazar se makāñ mashiyyat kā
sar ko jaltī huī zamīn pe rakh
apne ḳhud-sāḳhta ḳhayāloñ kī
barf ko sho.ala-e-yaqīn pe rakh
khol izn-e-ḳhurūj kā parcham
ḳhuun kā daaġh āstīn pe rakh
ḳhuud kī Dhaal se kahīñ behtar
zaḳhm talvār kā jabīn pe rakh
khīñch rahvār-e-tishnagī kī inaañ
saarā jāh-o-jalāl ziin pe rakh
vo diloñ kī zabāñ samajhte haiñ
apnī bechārgī ko scene pe rakh
harf ko daftar-e-yamin pe rakh
raaz ko mauja-e-amin pe rakh
chhu nazar se makan mashiyyat ka
sar ko jalti hui zamin pe rakh
apne KHud-saKHta KHayalon ki
barf ko shoala-e-yaqin pe rakh
khol izn-e-KHuruj ka parcham
KHun ka dagh aastin pe rakh
KHud ki Dhaal se kahin behtar
zaKHm talwar ka jabin pe rakh
khinch rahwar-e-tishnagi ki inan
sara jah-o-jalal zin pe rakh
wo dilon ki zaban samajhte hain
apni bechaargi ko scene pe rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.