hargiz na rah pai farda-o-di ne dil par
hargiz na raah paa.ī fardā-o-dī ne dil par
rahtī hai ek hālat bārah mahīne dil par
sakte meñ haiñ mah-o-mehr dariyā paḌe haiñ be-bahr
hai saḳht ġhair-mauzūñ duniyā zamīn-e-dil par
sho.ala charāġh meñ hai saudā dimāġh meñ hai
sābit qadam huuñ ab tak dīn-e-mubīn-e-dil par
yā-ayyohal-majāzīb hai bas-ki zer-e-tartīb
majmūatul-fatāvā qaul-e-matīn-e-dil par
likh lo ye merī raa.e kyā kyā sitam na Dhaa.e
kal dil ne aadmī par aaj aadmī ne dil par
ye rañj nā-kashīda ye jeb nā-darīda
ai ishq rahm haañ rahm in tārkīn-e-dil par
maano ye ghar na chhoḌo duniyā ko dekhte ho
jo kuchh guzar chukī hai is nā-makīn-e-dil par
ik sar hai nā-kashūda ik qaul nā-shanūda
ik naġhma nā-sarūda tarz-e-navīn-e-dil par
paḌtā hai jasta jasta maddham sā aur shikasta
ik māh-e-nīlmīñ kā partav nagīn-e-dil par
sau baar idhar se guzrā vo ātishīñ chaman sā
ik barg-e-gul na rakkhā dast-e-yamīn-e-dil par
ḳhūñ-basta chashm-e-hairāñ paivasta la.an-gardāñ
be-dīd balki be-dard balki kamīne dil par
tūfān uThā rakhā thā āñkhoñ ne vāh-vā kā
us kī nazar nahīñ thī kal āfrīn-e-dil par
rañgīn to bahut hai duniyā magar mahāshay
dhabbe se paḌ ga.e haiñ kuchh āstīn-e-dil par
vo māh-e-nāznīñ hai yā sarv-ātishīñ hai
yā fitna-e-qayāmat barpā zamīn-e-dil par
sab nā-malāmatoñ ko sab be-karāmatoñ ko
sab sar-salāmatoñ ko laanā hai dīn-e-dil par
'jāved' ko dikhā kar kahtā hai sab se dilbar
ūdham machā rakhā thā in bhā.ī-jī ne dil par
fārūqī aur ahmad-mushtāq ko tahayyat
shāḳh-e-ġhamgīn-e-dil par hisn-e-hasīn-e-dil par
hargiz na rah pai farda-o-di ne dil par
rahti hai ek haalat barah mahine dil par
sakte mein hain mah-o-mehr dariya paDe hain be-bahr
hai saKHt ghair-mauzun duniya zamin-e-dil par
shoala charagh mein hai sauda dimagh mein hai
sabit qadam hun ab tak din-e-mubin-e-dil par
ya-ayyohal-majazib hai bas-ki zer-e-tartib
majmuatul-fatawa qaul-e-matin-e-dil par
likh lo ye meri rae kya kya sitam na Dhae
kal dil ne aadmi par aaj aadmi ne dil par
ye ranj na-kashida ye jeb na-darida
ai ishq rahm han rahm in tarkin-e-dil par
mano ye ghar na chhoDo duniya ko dekhte ho
jo kuchh guzar chuki hai is na-makin-e-dil par
ek sar hai na-kashuda ek qaul na-shanuda
ek naghma na-saruda tarz-e-nawin-e-dil par
paDta hai jasta jasta maddham sa aur shikasta
ek mah-e-nilmin ka partaw nagin-e-dil par
sau bar idhar se guzra wo aatishin chaman sa
ek barg-e-gul na rakkha dast-e-yamin-e-dil par
KHun-basta chashm-e-hairan paiwasta lan-gardan
be-did balki be-dard balki kamine dil par
tufan uTha rakha tha aankhon ne wah-wa ka
us ki nazar nahin thi kal aafrin-e-dil par
rangin to bahut hai duniya magar mahashay
dhabbe se paD gae hain kuchh aastin-e-dil par
wo mah-e-naznin hai ya sarw-atishin hai
ya fitna-e-qayamat barpa zamin-e-dil par
sab na-malamaton ko sab be-karamaton ko
sab sar-salamaton ko lana hai din-e-dil par
'jawed' ko dikha kar kahta hai sab se dilbar
udham macha rakha tha in bhai-ji ne dil par
faruqi aur ahmad-mushtaq ko tahayyat
shaKH-e-ghamgin-e-dil par hisn-e-hasin-e-dil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.