harif koi nahin dusra baDa mera
harīf koī nahīñ dūsrā baḌā merā
sadā mujhī se rahā hai muqābla merā
mire badan pe zamānoñ kī zañg hai lekin
maiñ kaise dekhūñ shikasta hai aa.ina merā
mire ḳhilāf zamāna bhī hai zamīn bhī hai
munāfiqat ke mahāzoñ pe morcha merā
maiñ kashtiyoñ ko jalāne se ḳhauf khātā nahīñ
zamāna dekh chukā hai ye hausla merā
mire savāl se har shaḳhs ko malāl huā
pe hal kiyā na kisī ne bhī mas.ala merā
harif koi nahin dusra baDa mera
sada mujhi se raha hai muqabla mera
mere badan pe zamanon ki zang hai lekin
main kaise dekhun shikasta hai aaina mera
mere KHilaf zamana bhi hai zamin bhi hai
munafiqat ke mahazon pe morcha mera
main kashtiyon ko jalane se KHauf khata nahin
zamana dekh chuka hai ye hausla mera
mere sawal se har shaKHs ko malal hua
pe hal kiya na kisi ne bhi masala mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.