Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya

Ali Akbar Natiq

harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya

Ali Akbar Natiq

MORE BYAli Akbar Natiq

    harīm-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushnī se bhar gayā

    kise ḳhabar, maiñ kin diyoñ raah se guzar gayā

    ġhubār-e-shahr meñ use na DhūñD jo ḳhizāñ shab

    havā raah se milā, havā raah par gayā

    tire navāh meñ rahā magar miyān-e-dīn-o-dil

    gajar bajā to uThā, sunī azaañ to mar gayā

    safed pattharoñ ke ghar, gharoñ meñ tīrgī ke ġham

    hazār ġham ek ye ki bhī be-ḳhabar gayā

    nagar haiñ āftāb ke, barahna gumbadoñ ke sar

    saroñ pe nuur ke kalas, maiñ nuur meñ utar gayā

    harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya

    kise KHabar, main kin diyon ki rah se guzar gaya

    ghubar-e-shahr mein use na DhunD jo KHizan ki shab

    hawa ki rah se mila, hawa ki rah par gaya

    tere nawah mein raha magar miyan-e-din-o-dil

    gajar baja to ji uTha, suni azan to mar gaya

    safed pattharon ke ghar, gharon mein tirgi ke gham

    hazar gham ka ek ye ki tu bhi be-KHabar gaya

    nagar hain aaftab ke, barahna gumbadon ke sar

    saron pe nur ke kalas, main nur mein utar gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now