harim-e-lafz mein kis darja be-adab nikla
harīm-e-lafz meñ kis darja be-adab niklā
jise najīb samajhte the kam-nasab niklā
sipāh-e-shām ke neze pe āftāb kā sar
kis ehtimām se parvar-digār-e-shab niklā
hamārī garmi-e-guftār bhī rahī be-sūd
kisī kī chup kā bhī matlab ajab ajab niklā
baham hue bhī magar dil kī vahshateñ na ga.iiñ
visāl meñ bhī diloñ kā ġhubār kab niklā
abhī uThā bhī nahīñ thā kisī kā dast-e-karam
ki saarā shahr liye kāsa-e-talab niklā
harim-e-lafz mein kis darja be-adab nikla
jise najib samajhte the kam-nasab nikla
sipah-e-sham ke neze pe aaftab ka sar
kis ehtimam se parwar-digar-e-shab nikla
hamari garmi-e-guftar bhi rahi be-sud
kisi ki chup ka bhi matlab ajab ajab nikla
baham hue bhi magar dil ki wahshaten na gain
visal mein bhi dilon ka ghubar kab nikla
abhi uTha bhi nahin tha kisi ka dast-e-karam
ki sara shahr liye kasa-e-talab nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.