harim-e-shah mein dekhi na KHanqah mein hai
harīm-e-shāh meñ dekhī na ḳhānqāh meñ hai
jo shān-e-banda-navāzī tirī nigāh meñ hai
nigāh jab se tire husn kī panāh meñ hai
har ik maqām-e-mohabbat mirī nigāh meñ hai
ye but-kade ye haram jis kī jalva-gāh meñ hai
vo mere saath azal se junūñ kī raah meñ hai
ye un kā dar hai yahāñ sar uThā ke kaun chale
yahāñ pe sar hī nahīñ dil bhī sajda-gāh meñ hai
merī jabīñ kī taraf jhuk rahe haiñ kaun-o-makāñ
ye kis kā naqsh-e-qadam aaj sajda-gāh meñ hai
tire karam ne jo rutba atā kiyā hai mujhe
ye martaba na gadā meñ na bādshāh meñ hai
na aayā hosh use jis pe paḌ ga.ī ik baar
ye kaisī mastī na jaane tirī nigāh meñ hai
tire itaab se ye raaz khul gayā hai sanam
tirā karam bhī yahāñ parda-e-gunāh meñ hai
tire jamāl kā sadqa hai ai mire jānāñ
ye raushnī bhī abhī tak jo mehr-o-māh meñ hai
gunāhgār-e-mohabbat pe ye atā terī
tire karam kī tajallī mire gunāh meñ hai
batā rahī hai 'fanā' shān-e-be-niyāzāna
adā-e-ishq bhī kuchh husn-e-kaj-kulāh meñ hai
harim-e-shah mein dekhi na KHanqah mein hai
jo shan-e-banda-nawazi teri nigah mein hai
nigah jab se tere husn ki panah mein hai
har ek maqam-e-mohabbat meri nigah mein hai
ye but-kade ye haram jis ki jalwa-gah mein hai
wo mere sath azal se junun ki rah mein hai
ye un ka dar hai yahan sar uTha ke kaun chale
yahan pe sar hi nahin dil bhi sajda-gah mein hai
meri jabin ki taraf jhuk rahe hain kaun-o-makan
ye kis ka naqsh-e-qadam aaj sajda-gah mein hai
tere karam ne jo rutba ata kiya hai mujhe
ye martaba na gada mein na baadshah mein hai
na aaya hosh use jis pe paD gai ek bar
ye kaisi masti na jaane teri nigah mein hai
tere itab se ye raaz khul gaya hai sanam
tera karam bhi yahan parda-e-gunah mein hai
tere jamal ka sadqa hai ai mere jaanan
ye raushni bhi abhi tak jo mehr-o-mah mein hai
gunahgar-e-mohabbat pe ye ata teri
tere karam ki tajalli mere gunah mein hai
bata rahi hai 'fana' shan-e-be-niyazana
ada-e-ishq bhi kuchh husn-e-kaj-kulah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.