harjai si aurat Thahri
harjā.ī sī aurat Thahrī
kis kī jeb meñ daulat Thahrī
apnī nekī tohmat Thahrī
maulā terī qudrat Thahrī
siip ko motī aañkh ko aañsū
apnī apnī qismat Thahrī
maañ sā qad-āvar kaun hai jis ke
paañv ke nīche jannat Thahrī
kuchh to kaho bāzār-e-ḳhirad meñ
majnūñ kī kyā qīmat Thahrī
hosh kī bāteñ sun kar hañsnā
dīvānoñ kī aadat Thahrī
dil ke ā.īna-ḳhāne meñ
ik patthar kī mūrat Thahrī
sahrā sahrā hosh kī bāteñ
shahroñ shahroñ vahshat Thahrī
teġh-o-gulū kī jang meñ aksar
jaan se vaznī izzat Thahrī
ghar baiThe logoñ se na pūchho
mehnat kī kyā ujrat Thahrī
bhuuk pasīna pyaas kī shiddat
mazdūroñ kī ujrat Thahrī
aaj 'jamīl' is shahr-e-suḳhan meñ
badnāmī bhī shohrat Thahrī
harjai si aurat Thahri
kis ki jeb mein daulat Thahri
apni neki tohmat Thahri
maula teri qudrat Thahri
sip ko moti aankh ko aansu
apni apni qismat Thahri
man sa qad-awar kaun hai jis ke
panw ke niche jannat Thahri
kuchh to kaho bazar-e-KHirad mein
majnun ki kya qimat Thahri
hosh ki baaten sun kar hansna
diwanon ki aadat Thahri
dil ke aaina-KHane mein
ek patthar ki murat Thahri
sahra sahra hosh ki baaten
shahron shahron wahshat Thahri
tegh-o-gulu ki jang mein aksar
jaan se wazni izzat Thahri
ghar baiThe logon se na puchho
mehnat ki kya ujrat Thahri
bhuk pasina pyas ki shiddat
mazduron ki ujrat Thahri
aaj 'jamil' is shahr-e-suKHan mein
badnami bhi shohrat Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.