Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha

Khaleel Tanveer

hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha

Khaleel Tanveer

MORE BYKhaleel Tanveer

    hasad aag thī aur daaġh daaġh siina thā

    diloñ se dhul na sakā vo ġhubār-e-kīna thā

    zarā Thes lagī thī ki chuur chuur huā

    tire ḳhayāl paikar bhī ābgīna thā

    ravāñ thī koī talab lahū ke dariyā meñ

    ki mauj mauj bhañvar umr safīna thā

    vo jāntā thā magar phir bhī be-ḳhabar rahā

    ajiib taur thā us ajab qarīna thā

    bahut qarīb se guzre magar ḳhabar na huī

    ki ujḌe shahr dīvār meñ dafīna thā

    hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha

    dilon se dhul na saka wo ghubar-e-kina tha

    zara si Thes lagi thi ki chur chur hua

    tere KHayal ka paikar bhi aabgina tha

    rawan thi koi talab si lahu ke dariya mein

    ki mauj mauj bhanwar umr ka safina tha

    wo jaanta tha magar phir bhi be-KHabar hi raha

    ajib taur tha us ka ajab qarina tha

    bahut qarib se guzre magar KHabar na hui

    ki ujDe shahr ki diwar mein dafina tha

    Source :
    • Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 99)
    • Author : Khaleel Tanveer
    • Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now