hashmat-andam ye ek tarz-e-faramoshi hai
hashmat-andām ye ik tarz-e-farāmoshī hai
merī vahshat meñ izāfa tirī ḳhāmoshī hai
peshtar ḳhvāb ke ik ḳhvāb-e-digar hai paiham
sar-ba-sar koī nahīñ hai gahe sargoshī hai
duur ik dhund hai aur dhund se thoḌā aage
baaġh hai baaġh meñ tū hai tirī sargoshī hai
vo badan atlas-o-kamḳhvāb meñ poshīda huā
husn-e-nazzāra kuchh aisā hai ki madhoshī hai
raat har rang meñ tafhīm kā lamha hai mujhe
sub.h kī pahlī kiran bā'is-e-jāñ-koshī hai
go ki maiñ chāk-garebāñ nazar aatā huuñ tujhe
chashm-e-'ushshāq agar ho to ye ḳhush-poshī hai
hashmat-andam ye ek tarz-e-faramoshi hai
meri wahshat mein izafa teri KHamoshi hai
peshtar KHwab ke ek KHwab-e-digar hai paiham
sar-ba-sar koi nahin hai gahe sargoshi hai
dur ek dhund hai aur dhund se thoDa aage
bagh hai bagh mein tu hai teri sargoshi hai
wo badan atlas-o-kamKHwab mein poshida hua
husn-e-nazzara kuchh aisa hai ki madhoshi hai
raat har rang mein tafhim ka lamha hai mujhe
subh ki pahli kiran ba'is-e-jaan-koshi hai
go ki main chaak-gareban nazar aata hun tujhe
chashm-e-'ushshaq agar ho to ye KHush-poshi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.