hashr ke KHauf jaane kahan rah gae
hashr ke ḳhauf jaane kahāñ rah ga.e
ban ke dil vasvasoñ ke makāñ rah ga.e
dil ke mābain dīdār kar na sake
har taraf tere jalve 'ayāñ rah ga.e
pāsbāñ to faqat apnī dhun meñ chale
aur pīchhe bahut kārvāñ rah ga.e
ātish-e-nafrat-o-zid dahaktī rahī
aur jalte ka.ī āshiyāñ rah ga.e
phuul bāzār meñ lā ke beche ga.e
sar jhukā.e khaḌe bāġhbāñ rah ga.e
ghup añdherā huā us ke jab har taraf
us ne pūchhā ki 'dīpak' kahāñ rah ga.e
hashr ke KHauf jaane kahan rah gae
ban ke dil waswason ke makan rah gae
dil ke mabain didar kar na sake
har taraf tere jalwe 'ayan rah gae
pasban to faqat apni dhun mein chale
aur pichhe bahut karwan rah gae
aatish-e-nafrat-o-zid dahakti rahi
aur jalte kai aashiyan rah gae
phul bazar mein la ke beche gae
sar jhukae khaDe baghban rah gae
ghup andhera hua us ke jab har taraf
us ne puchha ki 'dipak' kahan rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.