hasin auraton ko chhoD kar ajab sab the
hasīn auratoñ ko chhoḌ kar ajab sab the
koī hamārā na thā sāhib-e-nasab sab the
maiñ sirf is liye zinda huuñ jab azaab aa.e
to us se āñkheñ milā kar kahūñ ki sab sab the
hasīn aurteñ lashkar meñ bhartī kar dī ga.iiñ
shikast ho ga.ī dushman ko kyūñki ab sab the
qayāmat aa.ī to shikve ke taur par maiñ ne
mazāq uḌāyā kahāñ rah ga.ī thī jab sab the
do-chār log mareñge tumhāre aane par
ziyāda der lagā dī hai tum ne tab sab the
alif girāne ko bhī shirk jānte the ham
ḳhudā pukārte to kaise zer-e-lab sab the
hujūm kahne lagā āsmāñ se hai koī
aur us ne haañ kahā phir is ke baad kab sab the
hamāre paas alag hone kā bahānā thā
hamārī pahlī mulāqāt kā sabab sab the
hasin auraton ko chhoD kar ajab sab the
koi hamara na tha sahib-e-nasab sab the
main sirf is liye zinda hun jab azab aae
to us se aankhen mila kar kahun ki sab sab the
hasin aurten lashkar mein bharti kar di gain
shikast ho gai dushman ko kyunki ab sab the
qayamat aai to shikwe ke taur par main ne
mazaq uDaya kahan rah gai thi jab sab the
do-chaar log marenge tumhaare aane par
ziyaada der laga di hai tum ne tab sab the
alif girane ko bhi shirk jaante the hum
KHuda pukarte to kaise zer-e-lab sab the
hujum kahne laga aasman se hai koi
aur us ne han kaha phir is ke baad kab sab the
hamare pas alag hone ka bahana tha
hamari pahli mulaqat ka sabab sab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.